O desh ke dhurandharon,
Is desh ki bhi socho,
Durdin ke badlon mein,
Hinsa ka nritya dekho.
Kathinaiyon se joojh ke,
Ye desh hai kya laya?
Peeda ke ghonsle mein,
Ashru pakshi chahchahaya.
Kanya ki upasna kar,
Kanya ka dar ghataya,
Aatank ke khet mein,
Navjeevan hai lahlahaya.
Chaand par Jane ka sapna,
Machinery saakar kar rahi,
Dharti par manhgayi chitkar bhar rahi.
Jativad ki aag me, medha dhadhak raha hai,
Jhooth ka daaman thaam, kyun sach sisak raha hai?
Upyuktata ka upyukt aadhar jaa raha hai,
Sadachar k rangmanch par,
Vyabhichar chaa raha hai.
Hai raavano ke aashwasan,
Ram rajya aa raha hai, ram rajya aa raha hai.
©abhikavya. all rights reserved.