Maa bharti ki pukar..🌎

O desh ke dhurandharon,

Is desh ki bhi socho,

Durdin ke badlon mein,

Hinsa ka nritya dekho.

Kathinaiyon se joojh ke,

Ye desh hai kya laya?

Peeda ke ghonsle mein, 

Ashru pakshi chahchahaya.

Kanya ki upasna kar,

Kanya ka dar ghataya,

Aatank ke khet mein,

Navjeevan hai lahlahaya.

Chaand par Jane ka sapna,

Machinery saakar kar rahi,

Dharti par manhgayi chitkar bhar rahi.

Jativad ki aag me, medha dhadhak raha hai,

Jhooth ka daaman thaam, kyun sach sisak raha hai?

Upyuktata ka upyukt aadhar jaa raha hai,

Sadachar k rangmanch par,

Vyabhichar chaa raha hai.

Hai raavano ke aashwasan,

Ram rajya aa raha hai, ram rajya aa raha hai.

©abhikavya. all rights reserved.



Abhilasha… 💕

 Aashaon pratyashaon k bhanwar mein,

Kab se jhool rahi thi mai,

Nihswarth samvednaein,

Ab to bhul rahi thi mai.


Tere aane se jaana,

Swarth se bacha hai koi kona,

Nirasha mein ummid ki kiran,

Bitiya rani tum hi hona.


Nishchal sacchi aur pyaari,

Teri ye muskaan na badle,

Sacche, gehre rishte milein tujhe,

Par iss  rishte ki pehchaan na badle❤

©abhikavya

Marusthal..

Sambandho k sushq marusthal mein,

Kab tak mujhe bhatakna hoga?

Thi kabhi saras sarita jeevan ki,

Ab toh kankad utraya hai,

Aasha ki marichika ko vilok ,

Ye man keval bharmaya hai…

Nirjan wan sa man shunya hua,

Patjhad ki ratein kati hai,

Tis par bhi jhanjhawat kia,

Dekh ye sambhando ki thati hai…

Tu mujhko na sweekarega ,

Teri shrishti mai na apnaungi,

Rach kar koi anyatra lok,

Jeevan amrit wahan paungi….

©abhikavya

Vatayan

Vatayan ke adhron par bujh Jane ko tatpar baithi,

Trishna me piche bhaag chali,

Kyu hast prasare tu lauti,

Khilkhilate dasno me bimbit,

Patjhado ka ek wan,

Mukti ke sambal tere,

Man par hua haavi kyun tan?

Tam me tera aalok nasht,

Gaan bhavi siskiyon ki godh me,

Bikharti jeevan Sudha alasya kuch pramod me,

Is vriksha se us vriksha tak,

Thi neer ki awali bani,

Tinka bhi chuta hast se,

Ab haaye kyun pagli bani?

©abhikavya

Blog at WordPress.com.

Up ↑